Mujhe kya hua hai kya khabar,
koi to batlao mujhe..koi to mujhko jawab do
aahat pe har, uthhe nazar
mujhe kya hua hai kya khabar..
Hai kaisi ye deewangi..
ye aarzu, dil ki lagi..
dhadkan bhi hai bechain si
hai aankh bhi lagti nahi
aankhen bhi hain atish se nam
palken bhi ab jhukti nahi..
Na sukun hai mujhko lamha bhar,
Mujhe kya hua hai kya khabar..
Main zaat me apni nahi
main baat me apni nahi
meri soch pe haavi ho tum
main sath me apne nahi
khwaabon me kaise khoun main
main raat me apni nahi..
Kyun maangu tumko is qadar..
Mujhe kya hua hai kya khabar..
Ho door phir ho paas kyun
har pal ho tum ehsaas kyun
na mumkin si ho tamanna meri
phir tum ho dil ki aas kyun
khud par hun qaabu kho rahi
bujhti nahi ye pyaas kyun..
Chhaaya hai kyun ye junoon sa..phirti hun tanha dar ba dar..
Mujhe kya hua hai kya khabar..
Baarish me tum, khwaahish me tum
ho waqt ke dhoke me tum
ho dil ki har saazish me tum
tum jaa'n meri, parwaz bhi
meri rooh ki awaaz bhi
meri saans ka aana bhi tum
meri jaan ka jana bhi tum
mera nukhta e veeraan bhi
mere honton ki muskaan bhi
mera aaj mera kal sanam
meri zindagi mere hum qadam
dekhun kahan pata nahi
ho tum hi tum bas tum hi tum..
kehta hai deewana mujhe..duniya ka har ek bashar..
Mujhe kya hua hai kya khabar..
Kahin ho gayi wo to nahi
kehte the tum ulfat jise
main hasti thi us baat par
kehte the tum pagal mujhe
kya mujhko bhi ho hi gayi
kehte the tum chahat jise..
Tum hi batao aye humsafar,
Mohobbat ho chali mujhko..
aur ab hui hai mujhe khabar..
0 comments:
Post a Comment