Sochti thi bus raasta hi tha badla tumne ...
Per dil mein tumhare main khaas hu ab bhi ...
Per Kya khabar thi
Maqaam hi badal doge mera ...
Naata hi Tod doge mujhse ...
Parayo mein keroge shumaar mera ...
Choor ker doge aitbaar mera......
Her baar ruk jaate they kadam .....
Ye sochker ki main na hui ...
To kisse bologe ....
Kiske saamne apna raaz e dil khologe ..kisko dikhaoge dard apna...
Kisse bataoge her Sapna ...
Kiske saamne aansu bahaoge !!
Kiske dil ko baar baar dukhaoge !!
Per samajh a gya hai sanam tune dhoond liye hai dard baatne waale....
Takseem ker dia hai haque Jo aj tak sirf mera tha !!
Aj tak na jaane kyu ek jhoothi aas mein jiti rhi ..
Dil se jhooth kehti rhi...
Ki Tera pyar na sahi Tera saath hi sahi...
Tera kuch haque hi sahi...
Isliye shayad badal na saki ....
Per ab waqt badalne Ka hai jana
Tujhe door khud se kerne Ka hai Jana
Na tujhko meri na mere saath ki zaroorat hai ...
Ab waqt khwaab se jaagne Ka hai Jana !!
Socha ye paighaam pahucha du main..
Tujhko apna faisla suna du main
Mana ki tujhko koi farq nhi mere hone ya na hone se ...,
Mere rehne ya door jaane se ...!!
Phir bhi keh du dil ki baat apni....
Ki Hasle meri bebasi pe tu..
Aur faqr meri yaado se ...
Apni azaadi pe tu .......
0 comments:
Post a Comment