Alfaaz ki aaj main dukaan lagakar baitha hun,
Kuch likhwana hai to likhwa lo, subah se yun hi tanha pareshan baitha hun..
Han hairan hun aane jaane wale khareeddaron se,
Bolte hain likhwa to lein par kya bharosa tum kaisa likho?
khud gum ho baithe, darr hai kahin waisa na likho..
Maine bhi keh dia shaan se,
Ke chup hun main lekin meri kalam khoob bolti hai,
Khud aazma kar dekhiye ke alfaz ke libas mein aapki ehsaason ko kaise taulti hai..
Hichkichakar bole sahab,
Chalo filhaal pao bhar ehsaason ke liye hi lafz mol dedo,
Dekho theek laga lena daam, nahi to bas rehne do..
Maine kaha sahab bony ka samay hai to bilkul waajib daam hi dunga,
Aaj aap pehle khareeddar hain, to kuch munafa bhi na lunga..
Dil se main likhta hun.. to jo dil kare wo de jana,
Aur agar ho sake to mere alfaz ko door talak le jana..